Sunday, December 21, 2008

December Sulagta Raha (Wasi Shah)

Meri aankhon main aansu pighalta raha
Chand jalta raha
Teri yadoon ka suraj nikalta raha
Chand jalta raha
Koy bister pe shabnam lipete huwe
Khawab dekha kiya
Koy yadoon main karwat badalta raha
Chand jalta raha
Meri aankhon main kampes ki sab saiteen
Jaagti hain abhi
Nehir par tu mere sath chalta raha
Chand jalta raha
Main to yeh janta houn k jis shab mujhye
Choor kar tum gaye
Aasmanon se sholah nikalta raha
Chand jalta raha
Raat ayi to kiya kiya tamashe huwe
Tuj ko maloom hay ?
Teri yadoon ka suraj ubalta raha
Chand jalta raha
Raat bhar meri palkon ki dhaliz par
Khawab gerte rahe
Dil tarapta raha,haath malta raha
Chand jalta raha
Yeh december k jis main kari dhuop bhi
Mithi lagne lage
Tum naheen to december sulagta raha
Chand jalta raha
Aaj bhi woh taqadas bhari raat mehki
Huyi hay wasi
Main kisi main, koy muj main dhalta raha
Chand jalta raha

No comments: