Showing posts with label wasi Shah. Show all posts
Showing posts with label wasi Shah. Show all posts

Tuesday, January 13, 2009

Dil ki Chokhat pe ek Deep jala rakha hai

Dil ki Chokhat pe ek Deep jala rakha hai
Tere Laut aane ka Imkaan saja rakha hai

Saans tak bhi nahin lete hain Tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai

Rooth jaate ho to kuch aur Haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi Tum ko Khafa rakha hai

Tum jise Rota hua chhorr gaye the ek din
Hum ne us Shaam ko Seeney se laga rakha hai

Chain lene nahi deta yeh kisi tor Mujhe
Teri yaadon ne jo Toofaan utha rakha hai

Jane wale ne kaha tha k wo Laut ayega zaroor
Ek isi Aas pe Darwaza khula rakha hai

Tere jane se jo ik Dhool uthi thi Ghum ki
Hum ne us Dhool ko Ankhon mai basa rakha hai

Mujh ko kal Shaam se wo boht yaad aane laga
Dil ne Muddat se jo ek Shaks Bhula rakha hai

Aakhri baar jo aaya tha Mere Naam Wasi
Mai ne is Khat ko kalejey se laga rakha hai

Sunday, December 21, 2008

Last call

Kal hamesha kee tarha us ne kaha yeh phone par
Mein bohat masaroof hoon mujh ko bohat se kaam hain

Is liye tum aao milne, mein tu aa saktee nahi
Har ravaayat toor kar is baar mein ne keh diya

Tum ju ho masroof tu mein bhee bohat masroof hoon
Tum ju ho mashhoor tu mein bhee bohat maaroof hoon

Tum agar gamgeen ho mein bhee bohat ranjoor hoon
Tum thakan se choor tu mein bhee thakan se choor hoon

Jaan-e-mann hai vaqt mera bhee bohat hee qeematee
Kuch puraane dostoon ne milne aana hai abhi

Mein bhee ab farig nahi mujh ko bhee lakhoo kaam hain
Varna kehne ko tu sab lamhe tumhare naam hain

Meri aankhein bhee bohat bojhal hain sonaa hai mujhe
Ratjagoo ke baad ab neendoon mein khonaa hai mujhe

Mein laho apni anaaon ka baha sakta nahi
Tum nahi aatee tu milne mein bhee aa sakta nahi

Us ko yeh keh ke mein ne receiver rakh diya
Aur phir apni anaa ke paaon pe sir rakh diya!

December Sulagta Raha (Wasi Shah)

Meri aankhon main aansu pighalta raha
Chand jalta raha
Teri yadoon ka suraj nikalta raha
Chand jalta raha
Koy bister pe shabnam lipete huwe
Khawab dekha kiya
Koy yadoon main karwat badalta raha
Chand jalta raha
Meri aankhon main kampes ki sab saiteen
Jaagti hain abhi
Nehir par tu mere sath chalta raha
Chand jalta raha
Main to yeh janta houn k jis shab mujhye
Choor kar tum gaye
Aasmanon se sholah nikalta raha
Chand jalta raha
Raat ayi to kiya kiya tamashe huwe
Tuj ko maloom hay ?
Teri yadoon ka suraj ubalta raha
Chand jalta raha
Raat bhar meri palkon ki dhaliz par
Khawab gerte rahe
Dil tarapta raha,haath malta raha
Chand jalta raha
Yeh december k jis main kari dhuop bhi
Mithi lagne lage
Tum naheen to december sulagta raha
Chand jalta raha
Aaj bhi woh taqadas bhari raat mehki
Huyi hay wasi
Main kisi main, koy muj main dhalta raha
Chand jalta raha