Thursday, July 9, 2009

Dil k veeraney aaker sajaye Ga,

Dil k veeraney aaker sajaye Ga,
Sacha Piyar hi usey meri Dehleez per Layga

Usey Khabar Karo k mein Us k shahar mey Aaya hoon,
Khush to bohat hoga magar mery pass na ayega

Kafan mein kuch dare mera chehra khula hi rakhna,
Meri bebasi dekhney Wo zroor aega

Wo aaye to mery Janazey sey usey door hi Rakhna,
Uska Udas chehra mujh sey dekha na jaeyga

Meri Qabr per Naam ki takhti na lagana werna,
Aatey Jatey usey mera Gham bohat satayga

Friday, June 26, 2009

a sad love poetry

Dar-o-dewaar se hasrat si barasti hay faraz
janay kis dais chaley gay piyaar nibhanay walay



mohsin naqvi............!

janey kaisay jeetay hin loog yadoun ka saharay mohsin
hum to kai baar martay hin ik yaad annay pa


Wednesday, May 27, 2009

Gham-e-Hayat ka Jhagra mita raha hai koi?

Gham-e-Hayat ka Jhagra mita raha hai koi?


Chalay ao kay duniya say ja raha hai koi?


Azal say keh do kay ruk jaye do Gharri?


Suna hai aanay ka wada nibha raha hai koi?


Woh is NAAZ say baithay hain Lash kay pas


Jaisay roothay huvay ko Mana raha hai koi


PaLat kar na AA jaye phir sans Nabzoon mai


Itnay Haseen hathoon say MAYYAT saja raha hai koi

Thursday, April 2, 2009

Sula raha tha na bedar .....!

Sula raha tha na bedar ker saka tha mujhe
Vo jaisey khawab mein mehsoos ker raha tha mujhe
Yahi tha chand aur us ko gawah tehra ker
Zara sa yaad to ker tu ne kia kaha tha mujhe
Tamam raat meri khawbgaah roshan thi
Kisi ne khawab mein ek phool de dia tha mujhe
Woh din bhi aye k khushbu se meri aankh k'huli
Aur ek rang haqiqat mein chu raha tha mujhe
Mein apni khak per kaisey na lot ker ati
Buht qareeb se koi pukarta tha mujhe
Daroon-e-khaima hi mera qayam rehna tha
to meer-e-fauj ne lashkar mein kio liya tha mujhe

Sunday, February 22, 2009

laboun per har

laboun per har
na sawal rekhta thaa

kabhi mian zabt main
itna kamal rekhtaa tha

khabar kahaan thee ka
mujhay hi wo bhool jay ga


aik aik cheez jo may
sambhaal rakhta thaa

bichartay waqat bazahir
to kuch na bola thaa

magar nigah mian so so
sawal rakhtaa thaaa

wo muskraaa ker
bohout dair chup rhaa jasay

hansi ki ought mian
koi malaal rakhtaa thaa

suna hay log usay
bahut satatay hain

jis aik shakhs ka faraz
khayaal rakhtaa thaa