Saturday, December 27, 2008

Sacha piyar

kisee na kaha phool say ka
mujh ko bataa tu aaj tak koun khilta rhaa

tu nay tu de sab ko khushboo
tujh ko kia milta rhaa?

phool nay muskra ker kahaa
abhii tu nadan hay

jiwan kay sachay piyar say abut tu anjaan hay
dany kay badlay kuch lena tu ek karobar hay

jo day ker bhi kuch nay mangay
wahee tu sacha piyar hay

Kabhi Annsoo Kabhi khushi bacheee


Friday, December 26, 2008

wo shakhs meri jaan bana rehta hai

wo shakhs meri jaan bana rehta hai
us ka piyar meri pehchan bana rehta hai
koi muntazir hai us ka bari shiddat se....
wo janta hai MAGER
anjan bana rehta hai

Thursday, December 25, 2008

Eik Din

Teri Chah mai hadd se guzar jaoon gi Ek Din
Pyar hota hai kya ye dikhlaoon gi Ek Din

Teri Sangdili ko sehtey sehtey
Mai apni Jaan se guzar jaoon gi Ek Din

Apni chahtain sari Tujh per Waar k
..Pyar karna Tujhe b sikhaoon gi Ek Din

Gee na payega Tuu b ho k Juda Mujh se
Aisa Pyar Tujh se ker jaoongi Ek Din

Andheron mai dhondta reh jayega Mujh ko
Aisi Be-Rukhi dikhlaoon gi Ek Din

Kho ker Mujh ko boht pachtayega Sanam Tuu
Wafa aisi Tujh se ker jaoongi Ek Din

Aisi Deewangi se Chahoon gi Tujh ko
Bhool jaoge Tum b sara Jahan Ek Din
Jaan Teri b Labon per ajayegi
Ban k Khaak jab mai Mitti mai mil joongi Ek Din

Ek Yahi Aas He Kafi Hai

Ek Yahi Aas He Kafi Hai
Mere Jeenay Mein

Dil Nahi Aap Dharakte
Ho Mere Seenay Mein

Tujh Se Jo Zakham Mile
Dil Se Laga Leti Hoon

Kitni Lazzat Hai Teri
Zaat Ke Ghum Peenay Mein

Tuesday, December 23, 2008

Bichhery hoye logon ki ek ek baat rula deti hey

Bichhery hoye logon ki ek ek baat rula deti hey...
Hum ko to her janey wali raat rula deti... hey

Wesey to hum dil k barey hi pakkey hain her ghum main
Woh to kabhi kabhi yunhi bersaat rula deti ...hey

Jesey pather ker deti hey baaz uqaat khushi bhi
Jesey baaz uqaat koi baraat rula deti ....hey

Jinhon ney haar kabhi nahi dekhi hoti hey jeevan bhar
Aison ko to chhoti si ek maat rula deti ....hey

Ghumon sey to kuch or bhi berh jata hey zabt humara
Haan albatta khushion ki buhtaat rula deti ....hey

shall we not revenge...?

If you prick us, ....do - We not bleed...?
if you tickle us, ...do we not laugh....?
if you poison us,.... do we not die...?
and if you wrong us,...shall we not revenge...?

گلوں مین رنگ بھرے باد نوبہار چلے

گلوں مین رنگ بھرے باد نوبہار چلے

چلے بھی آؤ کہ گلشن کا کاروبر چلے

قفس اداس ہے یارو صبا سے کچھـ تو کہو

کہیں تو بہرخدا آج ذکر يار چلے

کبھی تو صبح ترے کنج لب سے ہو آغاز

کبھی تو شب سرکاکل سے مشکبار چلے

بڑا ہے درد کا رشتہ یہ دل غریب سہی

تمہارے نام پہ آئںگے غمگسار چلے

جو ہم پہ گزری سو گزری مگر شب ہجراں

ہمارے اشک تری عاقبت سنوار چلے

حضور یار ہوئ دفتر جنوں کی طلب

گرہ میں لے کے گریبان کا تار تار چلے

مقام، فیض، کوئ راہ میں جچا ہی نہیں

جو کوۓ یار شے نکلے تو سوۓ دار چلے


ek hunar hai jo kar gayaa huun main

ek hunar hai jo kar gayaa huun main

ek hunar hai jo kar gayaa huuN main
sab ke dil se utar gayaa huuN main

(hunar : skill)

kaise apnii haNsii ko zabt karuun
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huun main

(zabt : control)

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huun main

ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN main

(darpesh : to confront)

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN main

Eik Shamma Jali Rafta Rafta Eik Khawab Loot Gaya Dheere Dheere

Eik Shamma Jali Rafta Rafta Eik Khawab Loot Gaya Dheere Dheere
Sheesha Na Sahi Pathar Bhi Na Tha Dil Toot Gaya Dheere Dheere

Barson Main Marasim Bante Hain Lamhon Main Kya Tootain Gey
Tu Mujh Say Bicharna Chahe To Deewaar Utha Dheere Dheere

Woh Haath Paraye Ho Bhi Chooke Ab Door Ka Rishta Hai Akhtar
Aati Hai Mere Veerane Main Khushboo-E-Hina Dheere Dheere

uss ki ankhoon mein!

uss ki ankhoon mein!
ik anjana sa dukh ha
kise say bechar janay ka
kise ko koh denay ka
jo wo kise say nahe kehta
lakin!
uss ki ankhein har 1 say kehti han
kise nay dokha diya ha
usy pyaar mein........

tears

Kya Mila Tumhe Socho

Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein
Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein

Tum To Chaar Din Mein Hi Apna Honsla Kho Bethe
Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein

Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke
Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein

Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai
Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein

Aaj Dil Hai Diwana, Uska Rukh Na Pehchana
Saazishen Bhi Shamil Hain Jiske Muskurane Mein

Monday, December 22, 2008

Campus (wasi shah)


Magar koi tumsa qateel bhi to ho.

Dil si cheez hai, dene ko hai de dengay
Magar koi tumsa qabeel bhi to ho,

Hum to jaan de kay bhi khush hongay
Magar koi tumsa qateel bhi to ho.

Ummido ki shama dil me mat ...jalana,

Ummido ki shama dil me mat ...jalana,
is jahan se alag duniya mat ..basana,

aaj bas mood me tha to SMS kar diya,
par roj intezar me palke mat .bichana!

Is kadar hum yaar ko manane ..............nikle..,

Is kadar hum yaar ko manane ..............nikle..,
Uski chahat ke hum deewane ...............nikle..,

Jab bhi use dil ka haal batana chaha......,
To uske hothon se waqt na hone ke bahane .nikle..,

Tera Name

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum.,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum...

Mita denge khud ko bhi jahan se lekin..,
Tera naam dil se na mita payenge hum....

Naa janey dekh kay kyun un ko, yeh howaa ahsaas

Kisee nazar ko tera intizaar aaj bhee hay
Kahan ho tum kay yeh dil beqaraar aaj bhee hay

Woh wadiaan woh fizaain, kay hum milay they jahan
Mairee wafa kaa waheen par mizaar aaj bhee hay

Naa janey dekh kay kyun un ko, yeh howaa ahsaas
Kay mairey dil pay unhain ikhtiaar aaj bhee hay

Woh piyaar jis kay leye hum nay chor dee dunyaa
Wafaa kee rahon main ghayal woh piyaar aaj bhee hay

Yaqeen nahee hay magar aaj bhee yeh lagta hay
Mairee talash main shayed bahaar aaj bhee hay

Naa pooch kitnay mohabbat kay zakhm khaye hain
Kay jin ko soch kay dil sogawaar aaj bhee hay.....

Her koi dil ki hathaily pa hay Sehra rakhay


Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah

Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa

Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa

Sunday, December 21, 2008

Yehi Arzoo Rahi Omer Bhar K Muhabtein Mere Sath Hon

Yehi arzoo rahi omer bhar k muhabtein mere sath hon
khabi asa ishq nahi kia k nadamtein mere sath hon

Koi asa harf nahi likha k ho sharmsaar qalam mera
Koi asa jurm nahi kia k wazahtein mere sath hon

Faqt aik shaks ki arzoo may guzar rahi ha ye zindagi
Ye talb nahi k tamam shehar ki chahtein mere sath hon

May kisi adalat-e-ishq may.A khuda`rahoo sarkhuru
Kaf-e-dast par mera dil rahe,meri tuhmatein mere sath hon

Ye nahi k rah may jo miley ause hamsafr hee banaoo may
Jo tamam omer nibha sake wo rafaqtein mere sath hon

Mujhey rasmi rasmi sa mail jol`pasand hee nahi jan-e-mann
May ye chahta hoon k jo tu miley`meri vehshatein mere sath hon.

pech rakhate ho bahut saaj-o-dastaar ke bech

pech rakhate ho bahut saaj-o-dastaar ke bech
mai.n ne sar girate hue dekhe hai.n baazaar ke bech

(Pech = anger; saaj-o-dastaar = turban)

baaGh-Baano'n ko ajab ranj se takate hai'n Gulaab
gul-farosh aaj bahut jamaa hai'n gul-zaar ke bech

[ranj = sorrow; gul_farosh = flower sellers]

kaj adaao'n kii inaayat hai ki ham se ushshaaq
kabhii diivaar ke piichhe kabhii diivaar ke biich

[kaj - crooked; ushshaaq = lovers]

tum ho naa_Khush to yahaa.N kaun hai Khush phir bhi 'Faraz'
log rahate hai'n isii shahar_e_dil_e_aazaar ke biich

Yey Shab-e-Firaq Yey

Yey Shab-e-Firaq Yey Baybasii Hain Qadam Qadam Pay Udasiyaan
Mairaa Saath Koi Na Day Saka Mairee Hasratain Hain Dhuwan Dhuwan

Main Tarap Tarap Kay Jiya Tu Kiya Maira Khawab Mujh Say Bichar Giya
Main Udass Ghar Key Sada Sahee Mujhay Daay Naa Koi Tasaliyaan

Chalii Aisee Dard Key Andhiyaan Mairay Dil Key Bastii Ujar Gaiee
Yey Ju Rakh See Hai Bujhi Bujhi Hain Issee Main Mairee Nishaniyaan

Yey Fiza Ju Gard-o-Ghubaar Hai Mairee Baykasii Ka Manzar Hai
Main Vu Phool Hun Ju Na Khil Saka Mairee Zindagee Main Vafa Kahan

asey mein??? kesay jeyon mein

jub jenay ki har aas
khtam ho jaye
dil tokray tokray
aur
sanas rouk jaye
jub doukh dil say lay kar
ankhon tak pehla
ho,
maqadar mein bus judaye he
lekhi ho
bolo??????????????????????
asey mein???
kesay jeyon mein

Pather per likhe Naam mita nhi kerte

Rait k sehra per hum naam likha nhi kerte
Rait per likhe naam tika nahi kerte
Hum se kehte hoo hum pathar k bane hain
Pather per likhe Naam mita nhi kerte

Last call

Kal hamesha kee tarha us ne kaha yeh phone par
Mein bohat masaroof hoon mujh ko bohat se kaam hain

Is liye tum aao milne, mein tu aa saktee nahi
Har ravaayat toor kar is baar mein ne keh diya

Tum ju ho masroof tu mein bhee bohat masroof hoon
Tum ju ho mashhoor tu mein bhee bohat maaroof hoon

Tum agar gamgeen ho mein bhee bohat ranjoor hoon
Tum thakan se choor tu mein bhee thakan se choor hoon

Jaan-e-mann hai vaqt mera bhee bohat hee qeematee
Kuch puraane dostoon ne milne aana hai abhi

Mein bhee ab farig nahi mujh ko bhee lakhoo kaam hain
Varna kehne ko tu sab lamhe tumhare naam hain

Meri aankhein bhee bohat bojhal hain sonaa hai mujhe
Ratjagoo ke baad ab neendoon mein khonaa hai mujhe

Mein laho apni anaaon ka baha sakta nahi
Tum nahi aatee tu milne mein bhee aa sakta nahi

Us ko yeh keh ke mein ne receiver rakh diya
Aur phir apni anaa ke paaon pe sir rakh diya!

~TUM BIN~

Dukh Hon Dard Hon Saaz Hon

Ya Beetey Dino'n Ki Awaz Hon

Main Jo Kuch Bhi Hon Jo Koi Bhi Hon

~TUM BIN~ Udaas Hoon ....

Kahan Dil Choor Aye Hoo ?????

Buhat Chup Chup Sey Rehtey Ho
Na Bantey Hoo , Sanwertey Ho
Na Koi baat Kartey Ho
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar
Hamesha Khoye Rehtey Ho
Oudasee Ankh Main Ley Kar
Har Eik Chehrey Ko Taktey Ho
Koi jab Yaad Ata Hai
Tu Thandee Aah Bhartey Ho
Tu Khul Kar Kyun Nahin Kehtey
Kis Sey Pyaar kartey ho!
Kahan Dil Choor Aye Ho ?????

December Sulagta Raha (Wasi Shah)

Meri aankhon main aansu pighalta raha
Chand jalta raha
Teri yadoon ka suraj nikalta raha
Chand jalta raha
Koy bister pe shabnam lipete huwe
Khawab dekha kiya
Koy yadoon main karwat badalta raha
Chand jalta raha
Meri aankhon main kampes ki sab saiteen
Jaagti hain abhi
Nehir par tu mere sath chalta raha
Chand jalta raha
Main to yeh janta houn k jis shab mujhye
Choor kar tum gaye
Aasmanon se sholah nikalta raha
Chand jalta raha
Raat ayi to kiya kiya tamashe huwe
Tuj ko maloom hay ?
Teri yadoon ka suraj ubalta raha
Chand jalta raha
Raat bhar meri palkon ki dhaliz par
Khawab gerte rahe
Dil tarapta raha,haath malta raha
Chand jalta raha
Yeh december k jis main kari dhuop bhi
Mithi lagne lage
Tum naheen to december sulagta raha
Chand jalta raha
Aaj bhi woh taqadas bhari raat mehki
Huyi hay wasi
Main kisi main, koy muj main dhalta raha
Chand jalta raha

ye brashin b tum si hin

ye brashin b tum si hin
jo bras gae to bahar hin
jo theher gae tu qarar hin
kabhi aa gae yonhi besbab
kabhi chaah gae roz-o-shab
kabhi shore hin
kabhi chup si hin
ye brashin b tum si hin
kisee yaad main
kisee raat ko
ek dabi howi is rakh ko
kabhi youn howa ka bojha dia
kabhi khud say khud ko jalaa dia
kahin bond bond mian gum si hin
ye brashin b tum si hin

Sunaa Hai Log use.....

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thehr ke dekhte hain

sunaa hai rabt hai usko Kharaab haalon se
so apne aap ko barbaad karke dekhte hain

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk uskii
so ham bhii uskii galii se guzar kar dekhte hain

sunaa hai usko bhii hai sheir-o-shaaiirii se sharf
soham bhii maujzay apne hunar ke dekhte hain

sunaa hai bole to baaton se phuul jharte hain
ye baat hai to chal baat kar ke dekhte hain

sunaa hai raat use chaand taktaa rehtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain

sunaa hai hashr hain uskii Ghazaal sii aankhein
sunaa hai usko hiran dasht bhar ke dekhte hai.n

sunaa hai din ko use titliyaan sataatii hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thehr ke dekhte hain

sunaa hai uskii siyaah chashmagii qayaamat hai
so usko surmaafarosh aankh bhar ke dekhte hain

sunaa hai uske labon se gulaab jalate hai.n
so ham pahaarh pe ilzaam dhar ke dekhte hain

sunaa hai aaiinaa tamasal hai jabiin uski
jo saadaa dil hain ban-savar ke dekhte hain

sunaa hai uske badan ke taraash aise hain
ke phuul apnii qabaaein katar ke dekhte hain

sunaa hai uskii shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n

ruke to gardish uskaa tavaaf kartii hai
chale to usko zamaane Thehr ke dekhte hain

mubaalaGe hii sahii, sab kahaaniyaa.N hiin sahii
agar vo Khvaab hai to taabiir kar ke dekhte hain

ab usake shehr mein Thehrein ke kuch kar jaaeiN
"Faraz" aao sitaare safar ke dekhte hain