Showing posts with label urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label urdu poetry. Show all posts

Thursday, March 4, 2010

Dayaar-e-gair main kaise tujhe sadaa dete

Dayaar-e-gair main kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhii jaataa to akher tujhe ganvaa dete

tumhii ne ham ko sunaayaa na hal-e-dil apanaa warna
duaa wo karte ke aasmaan hilaa dete

hamen ye zom rahaa ab ke wo pukaarenge
unhen ye zid thii ke har baar ham sadaa dete

vo teraa gham thaa ke taasiir mere lahaje kii
ke jis ko haal sunaate use rulaa dete

tumhen bhulana hi awwal to dastaras main nahi
jo ikhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete

samaton ko main taa-umr kostaa hii raha
wo kuchh na kahate magar honth to hilaa dete

Thursday, July 9, 2009

Dil k veeraney aaker sajaye Ga,

Dil k veeraney aaker sajaye Ga,
Sacha Piyar hi usey meri Dehleez per Layga

Usey Khabar Karo k mein Us k shahar mey Aaya hoon,
Khush to bohat hoga magar mery pass na ayega

Kafan mein kuch dare mera chehra khula hi rakhna,
Meri bebasi dekhney Wo zroor aega

Wo aaye to mery Janazey sey usey door hi Rakhna,
Uska Udas chehra mujh sey dekha na jaeyga

Meri Qabr per Naam ki takhti na lagana werna,
Aatey Jatey usey mera Gham bohat satayga

Friday, June 26, 2009

Sunday, February 22, 2009

lay gia sub kuch magar

lay gia sub kuch magar ek hosla rehney dia
yani meri zindagi ka sisila rehney dia

hum gaye they us ko mannaey kay lia
wo khafa achaa laga hum nay khafa rehnay dia

Monday, February 2, 2009

Abb Youn Dil ko Saza Di Hum Nay

Abb Youn Dil ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhoola Di Hum Nay
Aik Aik Phool Bohat Yaad Aya
Shaak-e-Gul Jab Wo Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Wo Sharmatay Hain
Baat Wo Kab Ki Bhoola Di Hum Nay
Shehar-e-Jahan Raakh Sai Abaad Hova
Aag Jab Dil Ki Booja Di Hum Nay
Aaj Phir Yuoon Bohat Yaad Aya Woh
Aaj Phir Us Ko Duya Di Hum Nay
Koi To Baat Hai Us Main Faiz
Her Khooshi Jis Pay Loota Di Hum Nay

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa......

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila
Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila.

گئے دنوں کا سراغ لیکر کدھر سے آیا کدھر گیا وہ

گئے دنوں کا سراغ لیکر کدھر سے آیا کدھر گیا وہ
عجیب مانوس اجنبی تھا مجھے تو حیران کر گیا وہ

خوشی کی رت ہو کہ غم کا موسم، نظر اسے ڈھونڈتی ہے ہر دم
وہ بوئے گل تھا کہ نغمہ جان، میرے تو دل میں اتر گیا وہ

وہ میکدے کو جگانے والا، وہ رات کی نیند اڑانے والا
نہ جانے کیا اس کے جی میں آئی کہ شام ہوتے ہیں گھر گیا وہ

کچھ اب سنبھلنے لگی ہے جاں بھی، بدل چلا رنگ آسماں بھی
جو رات بھاری تھی ڈھل گئی ہے، جو دن کڑا تھا گزر گیا وہ

شکستہ پا راہ میں کھڑا ہوں، گئے دنوں کو بلا رہا ہوں
جو قافلہ میرا ہمسفر تھا، مثل گرد سفر گیا وہ

بس اک منزل ہے بوالہوس کی، ہزار رستے ہیں اہل دل کے
یہی تو ہے فرق مجھ میں اس میں، گزر کیا میں ٹھہر گیا وہ

وہ جس کے شانے پہ ہاتھ رکھ کر سفر کیا تونے منزلوں کا
تیری گلی سے نہ جانے کیوں آج سر جھکائے گزر گیا وہ

وہ ہجر کی رات کا ستارا، وہ ہمنفس ہمسخن ہمارا
سدا رہے اس کا نام پیارا، سنا ہے کل رات مر گیا وہ

بس ایک موتی سی چھب دیکھا کر، بس ایک میٹھی سی دھن سنا کر
ستارا شام بن کے آیا، برنگ خواب سحر گیا وہ

نہ اب وہ یادوں کا چڑھتا دریا، نہ فرصتوں کی اداس برکھا
یونہی ذرا سی کسک ہے دل میں، جو زخم گہرا تھا بھر گیا وہ

وہ رات کا بے نوا مسافر، وہ تیرا شاعر وہ تیرا ناصر
تیری گلی تک تو ہم نے دیکھا، پھر نہ جانے کدھر گیا وہ

ناصر کاظمی

Wednesday, January 21, 2009

Wife of Mujahid

.........In the peak of sights
The wife of a Mujahid is like a candle
on her husband's darkest nights
continuing towards eternity with handle

==(mujahid) a man who fight for the islam

........Lighting his way
to the path of jihad feesiibilaah

....seeking only the pleasure of Allah
thou with deep love and fervent wish
for shahaada which doesn't diminish

==(shahaada ) one who dia in the way of islam

.........She the wife of a Mujahid..................
is a women of honor through her ghazwa (battle)
Who knows Ar-Rahman will catch her when she falls
The wife of a Mujahid- more like a women of taqwa
Who puts trust in her Lord when calamity befalls

..She the wife of a Mujahid...................
..

is the ideal muminah who prays in mist of the night
Who is not blinded by pride and self-rightousness
But hides her attractions with a guidance of light
And guards her chasity with full hijab and firmness

.....She the wife of a mujahid.....................
A women of strength whom Allah she pleases and obeys
The ideal muslimah who engages much in Allah's praise
Indeed while preserving her self-respect and dignity
through her noble conduct among the living humanity

.....Jihad with sword is not mandatory upon her,
But she as a wife fulfilled her role for jihad

....On promise Day- hopefully in the peak of sights
She too will be sitting on a mountain of pearls
As angels and hoors serving her and her likes
Thus a vast mercy from the Lorld of the Worlds

Saturday, January 10, 2009

Khwaaab (dreams)

~~KHWAAB~~
KABI KABI YOUN
B HOTA HA!
DIL K NAGAR BASANAY WALY
ZABT AZMANAY WALY
DOOR KAHEIN KHO JATY HEIN
...PHER KHWAB...
CHUP KI CHADAR OURAY
KAHMOSHI SAY
SO JATY HEIN!

Kismat sa larnay ki

Kismat sa larnay ki
kabhi justuju nahi kartay
muqadar jub mukhalif ho
duain be-asar jain
sabhi manzar bikhar jain
too aisay main baghawat ki
kbhi koshish nahi kartay
kisi k sath chalnay ki
kisi k dil main busnay ki
kabhi khawahish nahi kartay
kisi ek shaks ki khatir
subhi sa dour ho jana
kahan ki ye muhabat ha???
muhabat ye nahi hoti
muhabat aks ha RUB ka
kubhi ye mar nahi sakti
hamesha ye sath rahti ha
hamesha sath chalti ha
milay jo humsafar tum ko
usi k sath chalna tum
usay dharkan bana lena
usay dil main basa lena
magar kismat sa larnay ki
lakiron sa ulajhnay ki
kabhi koshish nahi karna...!

Friday, January 9, 2009

WO AANKHE HI KIA JO TUJE NA DEKE...

WO AANKHE HI KIA JO TUJE NA DEKE...
WO DIL HI KIA JO TUJE NA YAAD KIA...
WO BOL HI KIA TO TUNE NA BOLE..
.TU NAHI TO MAI BHI KUCH NAHI...
IS DUNIYA KE NAZARE KAI HAIN..
WO NAZARA HI KIA JO TERE SANGH NA DEKHE..
DO BADAN EK JAN HAIN HUM
ISME JO BHI BICHADE ...
ZAKHM RAHEGA AADHA AADHA...
KIA MAI APNI BAAT KAH DOO..
KIA MAI TUJ ME KHO JAUN..
TU NAHI TO MAI KUCH NAHI...
AAJAO KAHI SE HUMDUM..
TERA INTEZAR HAI HAR DUM...

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin

Mein ne tab tab ye bataya k tumhara mohsin

Log sadyon ki khataon pe bhi khush bastay hein

humko lamho ki wafaon ne ujara mohsin

wo tha jab paas to jeenay ko bhi dil krta tha

Ab to pal bhar bhi nahien hota guzara mohsin

Usko pana to muQadar ki lakeero mein nahien

Uska khona b karien kesay gawara mohsin..

ye meri MUHABAT hy,

Teri khatir Jo rota hun to ye meri MUHABAT hy,
Jo moti Rol deta hun to ye meri MUHABAT hy,
Tumhari YAD ki kirno ko Aksar ANKH me rakh ker,
Main apni neend jo khota hun to ye meri MUHABAT hy,
Hua Ehsas khusbo chandni ko Dehkh kar aksar,
Tujhe MEHSOS karta hun to ye meri MUHABAT hy,
Falak pe chand taron k hasin jhurmat k manzar me,
Tere chehre ko takta hun to ye meri MUHABAT hy,
Main apni zindgi k sare jazbon ko,
Tumhare nam karta hun to ye meri MUHABAT hy

Thursday, December 25, 2008

Eik Din

Teri Chah mai hadd se guzar jaoon gi Ek Din
Pyar hota hai kya ye dikhlaoon gi Ek Din

Teri Sangdili ko sehtey sehtey
Mai apni Jaan se guzar jaoon gi Ek Din

Apni chahtain sari Tujh per Waar k
..Pyar karna Tujhe b sikhaoon gi Ek Din

Gee na payega Tuu b ho k Juda Mujh se
Aisa Pyar Tujh se ker jaoongi Ek Din

Andheron mai dhondta reh jayega Mujh ko
Aisi Be-Rukhi dikhlaoon gi Ek Din

Kho ker Mujh ko boht pachtayega Sanam Tuu
Wafa aisi Tujh se ker jaoongi Ek Din

Aisi Deewangi se Chahoon gi Tujh ko
Bhool jaoge Tum b sara Jahan Ek Din
Jaan Teri b Labon per ajayegi
Ban k Khaak jab mai Mitti mai mil joongi Ek Din

Monday, December 22, 2008

Is kadar hum yaar ko manane ..............nikle..,

Is kadar hum yaar ko manane ..............nikle..,
Uski chahat ke hum deewane ...............nikle..,

Jab bhi use dil ka haal batana chaha......,
To uske hothon se waqt na hone ke bahane .nikle..,