Friday, January 9, 2009

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin

Mein ne tab tab ye bataya k tumhara mohsin

Log sadyon ki khataon pe bhi khush bastay hein

humko lamho ki wafaon ne ujara mohsin

wo tha jab paas to jeenay ko bhi dil krta tha

Ab to pal bhar bhi nahien hota guzara mohsin

Usko pana to muQadar ki lakeero mein nahien

Uska khona b karien kesay gawara mohsin..

No comments: