Thursday, March 4, 2010

Dayaar-e-gair main kaise tujhe sadaa dete

Dayaar-e-gair main kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhii jaataa to akher tujhe ganvaa dete

tumhii ne ham ko sunaayaa na hal-e-dil apanaa warna
duaa wo karte ke aasmaan hilaa dete

hamen ye zom rahaa ab ke wo pukaarenge
unhen ye zid thii ke har baar ham sadaa dete

vo teraa gham thaa ke taasiir mere lahaje kii
ke jis ko haal sunaate use rulaa dete

tumhen bhulana hi awwal to dastaras main nahi
jo ikhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete

samaton ko main taa-umr kostaa hii raha
wo kuchh na kahate magar honth to hilaa dete

No comments: