Kal hamesha kee tarha us ne kaha yeh phone par
Mein bohat masaroof hoon mujh ko bohat se kaam hain
Is liye tum aao milne, mein tu aa saktee nahi
Har ravaayat toor kar is baar mein ne keh diya
Tum ju ho masroof tu mein bhee bohat masroof hoon
Tum ju ho mashhoor tu mein bhee bohat maaroof hoon
Tum agar gamgeen ho mein bhee bohat ranjoor hoon
Tum thakan se choor tu mein bhee thakan se choor hoon
Jaan-e-mann hai vaqt mera bhee bohat hee qeematee
Kuch puraane dostoon ne milne aana hai abhi
Mein bhee ab farig nahi mujh ko bhee lakhoo kaam hain
Varna kehne ko tu sab lamhe tumhare naam hain
Meri aankhein bhee bohat bojhal hain sonaa hai mujhe
Ratjagoo ke baad ab neendoon mein khonaa hai mujhe
Mein laho apni anaaon ka baha sakta nahi
Tum nahi aatee tu milne mein bhee aa sakta nahi
Us ko yeh keh ke mein ne receiver rakh diya
Aur phir apni anaa ke paaon pe sir rakh diya!
No comments:
Post a Comment