Showing posts with label urdu Verse. Show all posts
Showing posts with label urdu Verse. Show all posts

Monday, December 22, 2008

Naa janey dekh kay kyun un ko, yeh howaa ahsaas

Kisee nazar ko tera intizaar aaj bhee hay
Kahan ho tum kay yeh dil beqaraar aaj bhee hay

Woh wadiaan woh fizaain, kay hum milay they jahan
Mairee wafa kaa waheen par mizaar aaj bhee hay

Naa janey dekh kay kyun un ko, yeh howaa ahsaas
Kay mairey dil pay unhain ikhtiaar aaj bhee hay

Woh piyaar jis kay leye hum nay chor dee dunyaa
Wafaa kee rahon main ghayal woh piyaar aaj bhee hay

Yaqeen nahee hay magar aaj bhee yeh lagta hay
Mairee talash main shayed bahaar aaj bhee hay

Naa pooch kitnay mohabbat kay zakhm khaye hain
Kay jin ko soch kay dil sogawaar aaj bhee hay.....

Sunday, December 21, 2008

Yehi Arzoo Rahi Omer Bhar K Muhabtein Mere Sath Hon

Yehi arzoo rahi omer bhar k muhabtein mere sath hon
khabi asa ishq nahi kia k nadamtein mere sath hon

Koi asa harf nahi likha k ho sharmsaar qalam mera
Koi asa jurm nahi kia k wazahtein mere sath hon

Faqt aik shaks ki arzoo may guzar rahi ha ye zindagi
Ye talb nahi k tamam shehar ki chahtein mere sath hon

May kisi adalat-e-ishq may.A khuda`rahoo sarkhuru
Kaf-e-dast par mera dil rahe,meri tuhmatein mere sath hon

Ye nahi k rah may jo miley ause hamsafr hee banaoo may
Jo tamam omer nibha sake wo rafaqtein mere sath hon

Mujhey rasmi rasmi sa mail jol`pasand hee nahi jan-e-mann
May ye chahta hoon k jo tu miley`meri vehshatein mere sath hon.

Pather per likhe Naam mita nhi kerte

Rait k sehra per hum naam likha nhi kerte
Rait per likhe naam tika nahi kerte
Hum se kehte hoo hum pathar k bane hain
Pather per likhe Naam mita nhi kerte