Wednesday, May 27, 2009

Gham-e-Hayat ka Jhagra mita raha hai koi?

Gham-e-Hayat ka Jhagra mita raha hai koi?


Chalay ao kay duniya say ja raha hai koi?


Azal say keh do kay ruk jaye do Gharri?


Suna hai aanay ka wada nibha raha hai koi?


Woh is NAAZ say baithay hain Lash kay pas


Jaisay roothay huvay ko Mana raha hai koi


PaLat kar na AA jaye phir sans Nabzoon mai


Itnay Haseen hathoon say MAYYAT saja raha hai koi