Thursday, April 2, 2009

Sula raha tha na bedar .....!

Sula raha tha na bedar ker saka tha mujhe
Vo jaisey khawab mein mehsoos ker raha tha mujhe
Yahi tha chand aur us ko gawah tehra ker
Zara sa yaad to ker tu ne kia kaha tha mujhe
Tamam raat meri khawbgaah roshan thi
Kisi ne khawab mein ek phool de dia tha mujhe
Woh din bhi aye k khushbu se meri aankh k'huli
Aur ek rang haqiqat mein chu raha tha mujhe
Mein apni khak per kaisey na lot ker ati
Buht qareeb se koi pukarta tha mujhe
Daroon-e-khaima hi mera qayam rehna tha
to meer-e-fauj ne lashkar mein kio liya tha mujhe

Sunday, February 22, 2009

laboun per har

laboun per har
na sawal rekhta thaa

kabhi mian zabt main
itna kamal rekhtaa tha

khabar kahaan thee ka
mujhay hi wo bhool jay ga


aik aik cheez jo may
sambhaal rakhta thaa

bichartay waqat bazahir
to kuch na bola thaa

magar nigah mian so so
sawal rakhtaa thaaa

wo muskraaa ker
bohout dair chup rhaa jasay

hansi ki ought mian
koi malaal rakhtaa thaa

suna hay log usay
bahut satatay hain

jis aik shakhs ka faraz
khayaal rakhtaa thaa

lay gia sub kuch magar

lay gia sub kuch magar ek hosla rehney dia
yani meri zindagi ka sisila rehney dia

hum gaye they us ko mannaey kay lia
wo khafa achaa laga hum nay khafa rehnay dia

Monday, February 2, 2009

Abb Youn Dil ko Saza Di Hum Nay

Abb Youn Dil ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhoola Di Hum Nay
Aik Aik Phool Bohat Yaad Aya
Shaak-e-Gul Jab Wo Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Wo Sharmatay Hain
Baat Wo Kab Ki Bhoola Di Hum Nay
Shehar-e-Jahan Raakh Sai Abaad Hova
Aag Jab Dil Ki Booja Di Hum Nay
Aaj Phir Yuoon Bohat Yaad Aya Woh
Aaj Phir Us Ko Duya Di Hum Nay
Koi To Baat Hai Us Main Faiz
Her Khooshi Jis Pay Loota Di Hum Nay

Mujhe Roshni ki talab bhi thi

Mujhe Roshni ki talab bhi thi...
Mujhe mazilon ka Gumaan bhi tha
Mujhe Raasto ki khabar bhi thi...
Mein bashar jo tha'Mera Dil bhi tha
Mere Dil mein rang bikhairti hue
Khawahisho ka Hajoom bhi tha
Meri Zindagi ki Khalaoo mein
Kai teeirtey hue Khawaab the
Mujhe maangne ka shaoor tha
Mere Lab pe Harf-e-DUA bhi tha
Mein Bashar jo tha...
Mujhe Roshni ki Talab to thi
Mujhe Raasto ki khabar to thi
Mujhe Manzilo ka Gumaan to tha
Tu ne phir bhi kaise samajh liya
Koi Aarzoo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujeh Tujh se Barh kar AZEEZ hai
Kabhi Iss taraf se guzar hua
To nazar bacha ke Ye dekhna
TERE baad jitni basar hue
Issey UMER kehna Durust hai.....???

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa......

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila
Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila.