Mujhe Roshni ki talab bhi thi...
Mujhe mazilon ka Gumaan bhi tha
Mujhe Raasto ki khabar bhi thi...
Mein bashar jo tha'Mera Dil bhi tha
Mere Dil mein rang bikhairti hue
Khawahisho ka Hajoom bhi tha
Meri Zindagi ki Khalaoo mein
Kai teeirtey hue Khawaab the
Mujhe maangne ka shaoor tha
Mere Lab pe Harf-e-DUA bhi tha
Mein Bashar jo tha...
Mujhe Roshni ki Talab to thi
Mujhe Raasto ki khabar to thi
Mujhe Manzilo ka Gumaan to tha
Tu ne phir bhi kaise samajh liya
Koi Aarzoo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujeh Tujh se Barh kar AZEEZ hai
Kabhi Iss taraf se guzar hua
To nazar bacha ke Ye dekhna
TERE baad jitni basar hue
Issey UMER kehna Durust hai.....???
No comments:
Post a Comment